sitam tu karta hai lekin dua bhi deta hai
mera harif mujhe hausla bhi deta hai
hai jis ka ek tabassum qarar-e-jaan apna
usi ka tarz-e-taghaful rula bhi deta hai
baja ki hijr ka aalam azab hai yaro
magar ye arsa-e-furqat maza bhi deta hai
hai dil-nawaz ghazab ka magar ye shoala-e-ishq
kabhi shagufa-e-dil ko jala bhi deta hai
kabhi hai maut mein pinhan najat ka pahlu
kabhi wo zist ki surat saza bhi deta hai
Ghazal
Sitam tu karta hai lekin dua bhi deta hai
Sajjad Syed