sitam sahne ki tayyari bhi koi chiz hoti hai
mohabbat mein wafadari bhi koi chiz hoti hai
bahut hum KHud-gharaz the jab mohabbat ki to ye jaana
ki apni jaan se pyari bhi koi chiz hoti hai
zaruri to nahin har baat honThon se kahi jae
nigahon ki adakari bhi koi chiz hoti hai
agar aankhon se bah jaen to ho jata hai dil halka
badan mein ashk se bhaari bhi koi chiz hoti hai
taqaze us se hum hi kyun karen har rose milne ke
hamari apni KHuddari bhi koi chiz hoti hai
hamare KHat jahan paDhte ho yun hi Dal dete ho
are kamre mein almari bhi koi chiz hoti hai
taraf-dari tumhein aati hai apne ghar ke logon ki
miyan meri taraf-dari bhi koi chiz hoti hai
ayaadat ke bahane mere ghar wo rose aate hain
mohabbat walon bimari bhi koi chiz hoti hai
Ghazal
Sitam sahne ki tayyari bhi koi chiz hoti hai
Anubhav Gupta