sitam mein bhi shan-e-karam dekhte hain
hamein jaante hain jo hum dekhte hain
jahan tak talluq hai aib o KHata ka
jo ahl-e-nazar hain wo kam dekhte hain
tera intizar is qadar baDh gaya hai
ki har aane wale ko hum dekhte hain
nazar su-e-kaba hai dil but-kade mein
hum andaz-e-ahl-e-haram dekhte hain
nigahen yunhi mil gain be-irada
na wo dekhte hain na hum dekhte hain
ye duniya to kya hai sar-e-arsh-e-azam
hum apna hi naqsh-e-qadam dekhte hain
kise apna haal-e-pareshan sunaen
pareshan zamane ko hum dekhte hain
meri manzilat kuchh isi se samajhiye
meri rah dair o haram dekhte hain
teri justuju mein hum ahl-e-tamanna
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
'mushir' ahl-e-binash meri har ghazal mein
dimagh aur dil ko baham dekhte hain
Ghazal
Sitam mein bhi shan-e-karam dekhte hain
Mushir Jhanjhanvi