sitam ko un ka karam kahen hum jafa ko mehr-o-wafa kahen hum
zamana is baat par ba-zid hai ki narawa ko rawa kahen hum
kuchh aisa sauda hai sab ke sar mein mizaj bigDe hue hain sab ke
koi bhi sunta nahin kisi ki kahen kisi se to kya kahen hum
ye sari baaten hain dar-haqiqat hamare aKHlaq ke munafi
sunen burai na hum kisi ki na KHud kisi ko bura kahen hum
na jaane hum se hai kya tawaqqo? nahin kisi tarah jaan-baKHshi
zamana is pe bhi mo'tariz hai agar KHuda ko KHuda kahen hum
hamari aahen bhi be-asar hain hamare nale bhi na-rasa hain
wo dard jis ka na ho mudawa use na kyun la-dawa kahen hum
na din ko hai kuchh sukun mayassar na shab ko aati hai nind hum ko
yahi mohabbat ki ibtida hai to phir kise intiha kahen hum
yahi taqaza hai maslahat ka isi mein hai aafiyat bhi 'atish'
kisi se dil ko jo ranj pahunche use KHuda ki raza kahen hum
Ghazal
Sitam ko un ka karam kahen hum jafa ko mehr-o-wafa kahen hum
Aatish Bahawalpuri