sitam ke mare lahu mein Dube hue nazaron ka kya karunga
sisakte ghuncho tumhin batao main in bahaaron ka kya karunga
jinhen bharosa ho aasman par wo aasman se panah mangen
main apne zarron se mutmain hun main chand-taron ka kya karunga
agar mujhe de sake zamana to kuchh nae zaKHm aur de de
main ghamgusaron ko jaanta hun main ghamgusaron ka kya karunga
hain sham-e-ghurbat ki tirgi mein mujhe mere ashk hi ghanimat
ho jin ki qismat mein KHud hi gardish main un sitaron ka kya karunga
main KHud hi tufan hun apna sahil nikal lunga yahin kahin se
jahan safine bhi Dub jaen main un kinaron ka kya karunga
tumhaare dair-o-haram ke jalwe tumhein mubarak tumhin sambhaalo
mujhe haqiqat ki justuju hai main KHwab-zaron ka kya karunga
abhi to daman-e-ghuncha-o-gul se lunga main intiqam 'arshad'
abhi junun mo'atabar nahin hai abhi bahaaron ka kya karunga
Ghazal
Sitam ke mare lahu mein Dube hue nazaron ka kya karunga
Arshad Siddiqui