sitam ke baad karam ki ada bhi KHub rahi
jafa to KHair jafa thi wafa bhi KHub rahi
ba-faiz-e-gardish-e-dauran unhen bhi pyar aaya
ba-pas-e-maslahat un ki raza bhi KHub rahi
ba-sad-KHulus qanaat ki dad milti hai
gada-nawazi-e-ahl-e-saKHa bhi KHub rahi
lagi hai mohr muqaddar ki dane dane par
ye KHush-mazaqi-e-shan-e-KHuda bhi KHub rahi
kahin shikam ke taqaze nazar nahin aate
charagh-e-dair-o-haram ki ziya bhi KHub rahi
hamare hath se aati hai bu-e-pairahan
hamare husn-e-talab ki ada bhi KHub rahi
Ghazal
Sitam ke baad karam ki ada bhi KHub rahi
Qateel Shifai