sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai
wafa shiar nahin wo wafa shanas to hai
wo dil ki baat zaban se na kuchh kahen shayad
hamare haal pe chehra magar udas to hai
ye dil-fareb banaras ki subah ka manzar
awadh ki sham-e-dil-ara hamare pas to hai
bharam rahega tere mai-kade ka bhi saqi
bala se KHali sahi hath mein gilas to hai
chale hi jaen nigahon se dur aap magar
hasin yaadon ki daulat hamare pas to hai
kare bhale hi na rahmat ki mujh par tu barish
tere karam ki mere dil mein ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhai na tishnagi lekin
hamari tishna-dahani ka us ko pas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahin 'danish'
KHuda gawah basirat ki us ko pyas to hai
Ghazal
Sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai
Danish Farahi