اردو हिंदी
Sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai | Shaahi Shayari
sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai

Ghazal

Sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai

Hasrat Mohani

;

sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai
mohabbat mein bata ai zabt-e-gham aisa bhi hota hai

bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri
teri tamkin-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai

jafa-e-yar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami
ummid o yas donon hon baham aisa bhi hota hai

mere pas-e-wafa ki bad-gumani hai ba-ja tum se
kahin be-wajh izhaar-e-karam aisa bhi hota hai

teri dildariyon se surat-e-beganagi nikli
KHushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai

waqar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qarari ne
kahin ai e'tibar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai

ba-dawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'hasrat'
dayar-e-shauq mein ai mahw-e-gham aisa bhi hota hai