sitam hai wo phir bad-guman ho raha hai
pas-e-imtihan imtihan ho raha hai
KHushi kyun na ho qatl hone ki mujh ko
wo na-mehrban mehrban ho raha hai
tasadduq tujhi par zamin ho rahi hai
tujhi par fida aasman ho raha hai
mujhe hichkiyon ne KHabar di hai aa kar
mera zikr jo kuchh wahan ho raha hai
chalo sair kar aaen jannat ki 'ashiq'
ajab kuchh tamasha wahan ho raha hai
Ghazal
Sitam hai wo phir bad-guman ho raha hai
Ashique Akbarabadi

