sitam hai dil ke dhaDakne ko bhi qarar kahen
tumhaare jabr ko apna hi iKHtiyar kahen
sukun wahi hai jise chaara-gar sukun kah den
kahan ye izn ki kuchh tere be-qarar kahen
chhupaen dagh-e-jigar phul jitna mumkin ho
kahin na ahl-e-nazar un ko dil-figar kahen
faza hai un ki chaman un ke aashiyan un ke
KHizan ke zaKHm ko jo ghuncha-e-bahaar kahen
piye hain ashk hazaron to lab pe aai hai
wo ek hansi ki jise farz-e-nagawar kahen
andheri shab mein jalenge charagh ban ban ke
wo naqsh-e-pa ki jinhen rah ka ghubar kahen
samajh sakega wahan kaun raaz-e-mai-KHana
'nasim' tishna-labi ko jahan KHumar kahen
Ghazal
Sitam hai dil ke dhaDakne ko bhi qarar kahen
Waheeda Naseem