sitam-gar ko main chaara-gar kah raha hun
ghalat kah raha hun magar kah raha hun
buton mein use jalwa-gar kah raha hun
baDi baat hai muKHtasar kah raha hun
mujhe aaj kanTon ke munh chumne do
bahaaron ka ruKH dekh kar kah raha hun
ye mathe pe shiknen ye danton mein aanchal
to afsana-e-mo'tabar kah raha hun
usi waqt aati hain chehre pe zulfen
unhen jab mein nur-e-sahar kah raha hun
zamane ke munh par zamane ki baaten
samajhne laga hun agar kah raha hun
ye diwangi hai ki haalat hael
wo sunte nahin hain magar kah raha hun
itab o taghaful hi achchhe the mujh ko
maal-e-karam dekh kar kah raha hun
jabhi 'shad' shaer ko kahte hain jhuTa
KHizan mein bhi main sher-e-tar kah raha hun
Ghazal
Sitam-gar ko main chaara-gar kah raha hun
Shaad Aarfi

