sitam dekho ki jo khoTa nahin hai
chalan mein bas wahi sikka nahin hai
namak zaKHmon pe ab malta nahin hai
ye lagta hai wo ab mera nahin hai
yahan par silsila hai aansuon ka
diya ghar mein mere bujhta nahin hai
yahi rishta hamein joDe hue hai
ki donon ka koi apna nahin hai
nae din mein nae kirdar mein hun
mera apna koi chehra nahin hai
meri kya aarzu hai kya bataun
mera dil mujh pe bhi khulta nahin hai
mere hathon ke zaKHmon ki badaulat
teri rahon mein ek kanTa nahin hai
safar mein sath ho guzra zamana
thakan ka phir pata chalta nahin hai
mujhe shak hai teri maujudgi par
tu dil mein hai mere ab ya nahin hai
teri yaadon ko main ignore kar dun
magar ye dil meri sunta nahin hai
zara sa waqt do rishte ko 'kanha'
ye dhaga to bahut uljha nahin hai

Ghazal
Sitam dekho ki jo khoTa nahin hai
Prakhar Malviya Kanha