sitam bhi karta hai us ka sila bhi deta hai
ki mere haal pe wo muskura bhi deta hai
shanawaron ko usi ne Dubo diya shayad
jo Dubton ko kinare laga bhi deta hai
yahi sukut yahi dasht-e-jaan ka sannaTa
jo sunna chahe koi to sada bhi deta hai
ajib kucha-e-qatil ki rasm hai ki yahan
jo qatl karta hai wo KHun-baha bhi deta hai
wo kaun hai ki jalata hai dil mein sham-e-umid
phir apne hath se us ko bujha bhi deta hai
wo kaun hai ki banata hai naqsh pani par
to pattharon ki lakiren miTa bhi deta hai
wo kaun hai ki jo banta hai rah mein diwar
aur us ke baad nai rah dikha bhi deta hai
wo kaun hai ki dikhata hai rang rang ke KHwab
andheri raaton mein lekin jaga bhi deta hai
wo kaun hai ki ghamon se nawazta hai mujhe
ghamon ko sahne ka phir hausla bhi deta hai
mujhi se koi chhupata hai raaz-e-gham sar-e-sham
mujhi ko aaKHir-e-shab phir bata bhi deta hai
Ghazal
Sitam bhi karta hai us ka sila bhi deta hai
Mushfiq Khwaja