اردو हिंदी
Sitaron ke aage jo aabaadiyan hain | Shaahi Shayari
sitaron ke aage jo aabaadiyan hain

Ghazal

Sitaron ke aage jo aabaadiyan hain

Abdul Hamid Adam

;

sitaron ke aage jo aabaadiyan hain
teri zulf ki gum-shuda wadiyan hain

zamana bhi kya raunaqon ki jagah hai
kahin rona-dhona kahin shadiyan hain

teri kakulen hi nahin sabz pariyan
meri aarzuen bhi shahzadiyan hain

baDi shai hai wabastagi do dilon ki
ye pabandiyan hi to aazadiyan hain

jahan qadr hai kuchh na kuchh aadmi ki
wo kya qabil-e-qadr aabaadiyan hain

yakayak na dil phenkna aankh walo
ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain

gharibon se kya kaam aasaishon ka
wo unche gharanon ki shahzadiyan hain

'adam' suraton ki chamak par na jaana
ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain

jahan bhi 'adam' koi dilbar makin hai
wahan kitni gunjaan aabaadiyan hain