sitare so gae to aasman kaisa lagega
jahan-e-tirgi mein ye jahan kaisa lagega
bichhaD ke sahilon se mauj-e-dil kaisi lagegi
bikhar ke aandhiyon mein baadban kaisa lagega
Thahar jaengi jab ye kashtiyan kaisi lagengi
guzar jaega jab aab-e-rawan kaisa lagega
imarat Dhah chuki hogi jo sansen TuTne se
to phir wo saya-e-diwar-e-jaan kaisa lagega
utar jaega rang-e-ashiqi jab is ke KHun se
to dil begana-e-sud-o-ziyan kaisa lagega
qafas kaisa lagega uD gae jab gate panchhi
na hoga jab koi shor o fughan kaisa lagega
bikhar jaengi zanjiren sabhi zindaniyon ki
zawal-e-naKHwat-e-na-mehrban kaisa lagega
bahut ranginiyan hongi agarche rah mein lekin
musafir kho gaya to karwan kaisa lagega
jahan tum se bahut pahle pahunch jaenge hum log
na jaane aaKHiri wo KHak-dan kaisa lagega
Ghazal
Sitare so gae to aasman kaisa lagega
Sabir Zafar