sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain
mere KHwabon ke aangan mein ujale muskuraate hain
haqiqat samne lane se jab daman bachate hain
to gir kar aaine hathon se KHud hi TuT jate hain
hamein to muskurane ke siwa kuchh bhi nahin aata
hujum-e-gham mein bhi hum log yun hi muskuraate hain
chalo ai baada-KHwaro chal ke un ki KHairiyat puchhen
suna hai shaiKH sahab mai-kade mein pae jate hain
mohabbat mein nadamat ke siwa kuchh bhi nahin paya
magar phir bhi mohabbat se kahan hum baz aate hain
tum hi ruThe hue ho jab hamare dil ki duniya se
chalo phir hum bhi apni zindagi se ruTh jate hain
yahi hai farq zahid aur aashiq ki ibaadat mein
ye apna sar jhukata hai wo apna dil jhukate hain
meri ummid aksar chahti hai surKH-ru hona
magar haalat aksar mujh ko aaina dikhate hain

Ghazal
Sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain
Qaisar Siddiqi