اردو हिंदी
Sitare haar chuki thi sabhi juari raat | Shaahi Shayari
sitare haar chuki thi sabhi juari raat

Ghazal

Sitare haar chuki thi sabhi juari raat

Bhavesh Dilshad

;

sitare haar chuki thi sabhi juari raat
bas ek chand bacha tha so wo bhi haari raat

batao kaise kahan tum ne kal guzari raat
uThai sud pe ya qarz pe utari raat

nahin bulai nahin hum ne KHud-baKHud aai
yahan na aati to jati kahan bechaari raat

utara Tang diya raincoat khunTi par
phir us se risti rahi bund bund sari raat

yahi hisab hai apni bhi zindagi ka dost
naqd mein din ka kiya sauda aur udhaari raat

hamein kafan nazar aane lage sitaron par
jo bachpane mein sitaron ki thi piTari raat