sitare aane lage ehtimam karne ko
ba-zid hai chand bhi kuchh tam-jham karne ko
chaman mein baad-e-saba kar rahi hai sargoshi
wo aane wale hain dam bhar qayam karne ko
saubaton se safar ki thaka hua hai wo
KHamoshi chahiye us se kalam karne ko
suna hai tark-e-talluq pe wo pasheman hai
kaha tha kis ne ye qissa tamam karne ko
hamare bich mein ek rabt-e-ghaebana hai
nahin ye baat zamane mein aam karne ko
Ghazal
Sitare aane lage ehtimam karne ko
Nusrat Mehdi