sitara sham se nikla hua hai
diya bhi taq mein rakkha hua hai
kahin wo raat bhi mahki hui hai
kahin wo chand bhi chamka hua hai
abhi wo aankh bhi soi nahin hai
abhi wo KHwab bhi jaga hua hai
kisi baadal ko chhu kar aa rahi hai
hawa ka pairahan bhiga hua hai
zamin be-aks ho kar rah gai hai
falak ka aaina maila hua hai
KHamoshi jhankti hai khiDkiyon se
gali mein shor sa phaila hua hai
hawa gum-sum khaDi hai raste mein
musafir soch mein Duba hua hai
koi nindon mein KHushbu gholta hai
daricha KHwab ka mahka hua hai
kisi guzre baras ki Diary mein
tumhaara nam bhi likkha hua hai
charagh-e-sham ki aankhen bujhi hain
sitara KHwab ka TuTa hua hai
safar ki raat hai 'nasir' dilon mein
ajab ek dard sa Thahra hua hai
Ghazal
Sitara sham se nikla hua hai
Naseer Ahmad Nasir