sitara le gaya hai mera aasman se kaun
utar raha hai 'shumar' aaj mere dhyan se kaun
abhi safar mein koi moD hi nahin aaya
nikal gaya hai ye chup-chap dastan se kaun
lahu mein aag laga kar ye kaun hansta hai
ye intiqam sa leta hai ruh o jaan se kaun
ye dar chum ke muska raha hai kaun udhar
guzar raha hai tumhaare ye imtihan se kaun
zamin chhoDna filhaal mere bas mein nahin
dikhai dene laga phir ye aasman se kaun
Ghazal
Sitara le gaya hai mera aasman se kaun
Akhtar Shumar