siskiyan leti hui ghamgin hawao chup raho
so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho
raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghair
subh hone tak na bolo ham-nawao chup raho
band hain sab mai-kade saqi bane hain mohtasib
ai garajti gunjti kali ghatao chup raho
tum ko hai malum aaKHir kaun sa mausam hai ye
fasl-e-gul aane talak ai KHush-nawao chup raho
soch ki diwar se lag kar hain gham baiThe hue
dil mein bhi naghma na koi gungunao chup raho
chhaT gae haalat ke baadal to dekha jaega
waqt se pahle andhere mein na jao chup raho
dekh lena ghar se niklega na ham-saya koi
ai mere yaro mere dard-ashnao chup raho
kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suli apne kandhe par uThao chup raho
Ghazal
Siskiyan leti hui ghamgin hawao chup raho
Qateel Shifai