sisakte phulon ka koi bhi dard-mand nahin
mahak se pyar hai masumiyat pasand nahin
chalo to hum bhi samundar koi talash karen
suna hai ret ki diwar kuchh buland nahin
lahakti shaKH lahu mein na kyun naha uTThe
saba ke pas sajawaT ki wo kamand nahin
jo sun sako to mujhe dhaDkanon ki lai pe suno
main ek saz hun aawaz ka samand nahin
pawan ki khoj mein parbat ko chumti kirno
palaT bhi aao ki patton ke honT band nahin
Ghazal
Sisakte phulon ka koi bhi dard-mand nahin
Athar Aziz