اردو हिंदी
Sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se | Shaahi Shayari
sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se

Ghazal

Sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se

Ghulam Husain Sajid

;

sisak rahi hain thaki hawaen lipaT ke unche sanobaron se
lahu ki mahkar aa rahi hai kaTe hue sham ke paron se

ajab nahin KHak ki udasi bhari nigahon ka izn pa kar
palaT paDen ek din rawan paniyon ke dhaare samundaron se

wo kaun tha jo kahin bahut dur ke nagar se pukarta tha
wo kya sada thi ki aisi ujlat mein log ruKHsat hue gharon se

badan mein phir sans le raha hai alaw andhi masafaton ka
nigah manus ho rahi thi abhi paDaw ke manzaron se

main hun magar aaj us gali ke sabhi dariche khule hue hain
ki ab main aazad ho chuka hun tamam aaankhon ke daeron se

qalam ke eajaz se kisi par unhen main kya iKHtiyar dunga
wo jin ki tanzim ho saki thi na un ke apne payambaron se

jo ho sake to wajud hi ki khari adalat se faisla lo
fuzul hai jurm ke natije mein dad-KHwahi sitamgaron se