sirf un ke kuche mein jaan bichha ke chalte hain
warna chahne wale sar uTha ke chalte hain
kya gunah hua un se kyun teri gali ke log
apne ghar ke andar bhi munh chhupa ke chalte hain
han KHuda bhi ho shayad koi apni basti ka
hukm us jagah sare naKHuda ke chalte hain
zaKHm bhi nahin lagte KHun bhi nahin bahta
tir us ki mahfil mein kis bala ke chalte hain
sham ko unhen 'aKHtar' gulistan mein dekhenge
jab wo apni zulfon mein dil saja ke chalte hain

Ghazal
Sirf un ke kuche mein jaan bichha ke chalte hain
Saeed Ahmad Akhtar