sirf thoDi si hai ana mujh mein
warna baqi hai bas KHala mujh mein
andar andar mujhe ye khati hai
ek bhuki si hai bala mujh mein
Dhah raha hun main ek khanDar ki tarah
ek bhaTakti hai aatma mujh mein
ab har ek baat par main raazi hun
jaane ye kaun mar gaya mujh mein
meri aawargi se ghabra kar
muD gaya mera rasta mujh mein
dekh kar mujh ko is qadar KHamosh
ek dariya utar gaya mujh mein
main ne qabu mein us ko rakkha hai
wo jo rahta hai sar-phira mujh mein
main tha aisa kahan 'suhail' kabhi
ab to hai koi dusra mujh mein
Ghazal
Sirf thoDi si hai ana mujh mein
Suhail Akhtar