اردو हिंदी
Sirf tera nam le kar rah gaya | Shaahi Shayari
sirf tera nam le kar rah gaya

Ghazal

Sirf tera nam le kar rah gaya

Waseem Barelvi

;

sirf tera nam le kar rah gaya
aaj diwana bahut kuchh kah gaya

kya meri taqdir mein manzil nahin
fasla kyun muskura kar rah gaya

zindagi duniya mein aisa ashk thi
jo zara palkon pe Thahra bah gaya

aur kya tha us ki pursish ka jawab
apne hi aansu chhupa kar rah gaya

us se puchh ai kaamyab-e-zindagi
jis ka afsana adhura rah gaya

hae kya diwangi thi ai 'wasim'
jo na kahna chahiye tha kah gaya