sirf paTri bani rahi mujh mein
rail-gaDi nahin chali mujh mein
kuchh na kuchh kuchh se kuchh nahin bante
aise kuchh kuchh paDe kai mujh mein
us ki aankhen banai machis pe
ek cigratte si jal gai mujh mein
gham ke KHaliq ne mujh se puri ki
thoDi si bhi nahin kami mujh mein
mir ki lek Tuk mein aTke hain
kuchh riwayat ke mushafi mujh mein
falsafa KHauf dukh KHushi kuchh sher
rahte hain itne aadmi mujh mein
saste saude mein bechna tha mujhe
mahngi qimat likhi gai mujh mein
ghaur se dekh phir se ek bari
baat ab bhi nahin bani mujh mein
arabi ko nikalta hun main
Thuns dete hain farsi mujh mein
jis ko bahar se tha ghaTaya kabhi
aur andar se baDh gai mujh mein
baiTh sakti ho mere andar tum
ab musibat nahin khaDi mujh mein
Ghazal
Sirf paTri bani rahi mujh mein
Muzdam Khan