sirf KHanjar hi nahin aankhon mein pani chahiye
ai KHuda dushman bhi mujh ko KHandani chahiye
shahr ki sari alif-lailaen buDhi ho chukin
shahzade ko koi taza kahani chahiye
main ne ai suraj tujhe puja nahin samjha to hai
mere hisse mein bhi thoDi dhup aani chahiye
meri qimat kaun de sakta hai is bazar mein
tum zuleKHa ho tumhein qimat lagani chahiye
zindagi hai ek safar aur zindagi ki rah mein
zindagi bhi aae to Thokar lagani chahiye
main ne apni KHushk aankhon se lahu chhalka diya
ek samundar kah raha tha mujh ko pani chahiye
Ghazal
Sirf KHanjar hi nahin aankhon mein pani chahiye
Rahat Indori