sirf KHaka ubhar raha hai abhi
koi chehra kahan bana hai abhi
reza reza bikharti aankhon mein
ghar ka sapna basa hua hai abhi
kaise kah dun badal gaya mausam
zaKHm dil mein saja hua hai abhi
kin ruton ka hisab dun us ko
sabz mausam kahan mila hai abhi
raat aadhi guzar chuki hai magar
ek daricha khula hua hai abhi
shamen sab bujh gain KHamosh hai raat
aur dil hai ki jagta hai abhi
kya milen tujh se tu ne KHud ko 'nigar'
mo'atabar hi kahan kiya hai abhi
Ghazal
Sirf KHaka ubhar raha hai abhi
Nigar Azeem