اردو हिंदी
Sirf karb-e-ana diya hai mujhe | Shaahi Shayari
sirf karb-e-ana diya hai mujhe

Ghazal

Sirf karb-e-ana diya hai mujhe

Abid Munavari

;

sirf karb-e-ana diya hai mujhe
zindagi ne bhi kya diya hai mujhe

muskuraate hue bhi Darta hun
gham ne buzdil bana diya hai mujhe

jis tarah ret par ho naqsh koi
yun hawa ne miTa diya hai mujhe

main use dil-lagi samajhta tha
tu ne sach-much bhula diya hai mujhe

yarab is be-hison ke shahr mein kyun
dil-e-dard-ashna diya hai mujhe

wo bhi ThanDi hawa ka jhonka tha
jis ne yaksar jala diya hai mujhe

us ne rakkha hai be-tarah masruf
rose hi gham naya diya hai mujhe

aaj mere hi dil ne ai 'abid'
apna dushman bana diya hai mujhe