اردو हिंदी
Sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin | Shaahi Shayari
sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin

Ghazal

Sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin

Asad Jafri

;

sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin
chand qatron se to bahr-e-be-karan banta nahin

chaar chhe phulon se apne ghar ka guldasta saja
chaar chhe phulon se hargiz gulistan banta nahin

karwan ka pas hai tujh ko to pani par na chal
ye wo jada hai jahan koi nishan banta nahin

be-sar-o-saman parindo kash tum ye sochte
kaun si shaKHen hain jin par aashiyan banta nahin

kis qadar na-qabil-e-idrak hai meri zaban
koi is basti mein mera ham-zaban banta nahin