sirf itne jurm par hangama hota jae hai
tera diwana teri galiyon mein dekha jae hai
aap kis kis ko bhala suli chaDhate jaenge
ab to sara shahr hi mansur banta jae hai
dilbaron ke bhes mein phirte hain choron ke giroh
jagte rahiyo ki in raaton mein luTa jae hai
tera mai-KHana hai ya KHairaat-KHana saqiya
is tarah milta hai baada jaise baKHsha jae hai
mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho
apna haq manga nahin jata hai chhina jae hai
maut aai aur tasawwur aap ka ruKHsat hua
jaise manzil tak koi rah-rau ko pahuncha jae hai
Ghazal
Sirf itne jurm par hangama hota jae hai
Kaif Bhopali