sirf ek soz to mujh mein hai magar saz nahin
main faqat dard hun jis mein koi aawaz nahin
mujh se jo chahiye wo dars-e-basirat lije
main KHud aawaz hun meri koi aawaz nahin
wo maze rabt-e-nihani ke kahan se laun
hai nazar mujh pe magar ab ghalat-andaz nahin
phir ye sab shorish-o-hangama-e-alam kya hai
isi parde mein agar husn-e-junnun-saz nahin
aatish-e-jalwa-e-mahbub ne sab phunk diya
ab koi parda nahin parda-bar-andaz nahin
Ghazal
Sirf ek soz to mujh mein hai magar saz nahin
Asghar Gondvi

