اردو हिंदी
Sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund | Shaahi Shayari
sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund

Ghazal

Sirf ek larzish hai nok-e-Khaar par shabnam ki bund

Niyaz Fatehpuri

;

sirf ek larzish hai nok-e-KHar par shabnam ki bund
phir bhi is fursat par us ki mujh ko rashk aa jae hai

meri tanhai na puchho jaise koi naqsh-e-pa
dur sahra ke kisi goshe mein paya jae hai

sang kya hai bas sarapa intizar-e-but-tarash
zindagi ka KHwab logo yun bhi dekha jae hai

shab ka wo pichhla pahar aur phiki phiki chandni
raat bas kar jaise koi haar kumhla jae hai

raat ki tanhaiyan aur un ki aamad ka KHayal
chand jaise ruh ke andar se guzra jae hai

is sahi qad ka KHiram-e-naz wo fitna hai jo
har qadam par ek nae sanche mein Dhalta jae hai

ab ye haal-e-dil hai jaise rakh ke kanTon par 'niyaz'
reshmi chadar ko bedardi se khincha jae hai