اردو हिंदी
SimTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae | Shaahi Shayari
simTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae

Ghazal

SimTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae

Mushtaq Naqvi

;

simTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae
bikhre to aise KHak ke zarron mein baT gae

manzil kahan safar hi safar ho gai hayat
itna chale ki panw se raste lipaT gae

ye waqt ka karam hai ki rukte nahin hain din
kaTna na chahiye tha jinhen wo bhi kaT gae

ab dekhna hai kaun sanwarega tere phul
ek hum hi teri rah ka kanTa the hiT gae

qad-awari pe hum ko bahut naz tha magar
jab zindagi ki aag se guzre to ghaT gae