simTe hue jazbon ko bikharne nahin deta
ye aas ka lamha hamein marne nahin deta
qismat meri raaton ki sanwarne nahin deta
wo chand ko is ghar mein utarne nahin deta
karti hai sahar zard gulabon ki tijarat
meyar-e-hunar zaKHm ko bharne nahin deta
baadal ke siwa kaun hai hamdard rafiqo
tirshul si kirnon ko bikharne nahin deta
aankhon ke dariche bhi 'zaki' us ne kiye band
suraj ko samundar mein utarne nahin deta
Ghazal
SimTe hue jazbon ko bikharne nahin deta
Zaki Tariq