simaTti sham agar dard ko jagaegi
to subh nauha-e-matub gungunaegi
main hans paDunga to phir kasmasa uThegi faza
hawa-e-tund meri lau jo gudgudaegi
numu mein mauj banegi namazat-e-farda
rida-e-tirgi jitne qadam baDhaegi
zamin gaegi aam aur jamunon ke git
barasti badli wo sur-tal aazmaegi
jahan pe chand zamin se lipaT ke mahkega
nashe mein chandni git apne gungunaegi
zamin sitare falak ek honge gardish mein
ruten wo aisi agar apne sath laegi
hazar buad o tafaut ke bawajud 'hanif'
wahan bhi mujh se milegi jahan wo jaegi
Ghazal
SimaTti sham agar dard ko jagaegi
Hanif Tarin