اردو हिंदी
SimaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai | Shaahi Shayari
simaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai

Ghazal

SimaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai

Zafar Iqbal

;

simaTne ki hawas kya thi bikharna kis liye hai
wo jina kis ki KHatir tha ye marna kis liye hai

mohabbat bhi hai aur apna taqaza bhi nahin kuchh
hum us se saf kah denge mukarna kis liye hai

jhijhakna hai to us ke samne hona hi kaisa
jo Darna hai to dariya mein utarna kis liye hai

masafat KHwab hai to KHwab mein ab jagna kya
agar chal hi paDe hain to Thaharna kis liye hai

na karne se bhi hota ho jahan sab ka guzara
wahan aaKHir kisi ne kaam karna kis liye hai

agar rukna nahin us ne hamare pas to phir
hamare raste par se guzarna kis liye hai

wo kah dega to uTh jaenge us ki bazm se hum
munasib hi nahin lagta pasarna kis liye hai

'zafar' us par asar to koi hota hai na hoga
to phir ye rose ka banna sanwarna kis liye hai