simaT simaT si gai thi zamin kidhar jata
main us ko bhulta jata hun warna mar jata
main apni rakh kuredun to teri yaad aae
na aai teri sada warna main bikhar jata
teri KHushi ne mera hausla nahin dekha
are main apni mohabbat se bhi mukar jata
kal us ke sath hi sab raste rawana hue
main aaj ghar se nikalta to kis ke ghar jata
main kab se hath mein kasa liye khaDa hun 'shaz'
agar ye zaKHm hi hota to kab ka bhar jata

Ghazal
SimaT simaT si gai thi zamin kidhar jata
Shaz Tamkanat