silsile toD gaya wo sabhi jate jate
warna itne to marasim the ki aate jate
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jate
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
pa-ba-jaulan hi sahi nachte gate jate
is ki wo jaane use pas-e-wafa tha ki na tha
tum 'faraaz' apni taraf se to nibhate jate
Ghazal
Silsile toD gaya wo sabhi jate jate
Ahmad Faraz