silsile sab ruk gae dil hath se jata raha 
hijr ki dahliz par ek dard lahraata raha 
qalb ka daman junun mein bhi na chhoDa aql ne 
dhaDkanon ki chap sun kar mujh ko KHauf aata raha 
masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab 
us ka har ehsan mujh par nekiyan Dhata raha 
main raha be-KHwab KHwabon ke tilismi jal mein 
wo meri ninden chura kar loriyan gata raha 
sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se 
zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha 
roz aa kar meri khiDki mein mere bachpan ka chand 
rakh ke sar ek nim ki Tahni pe so jata raha 
hijr ke baadal chhaTe jab dhup chamki ishq ki 
wasl ke aangan mein bhanwra gul pe manDlata raha 
zindagi bebak ho kar tujh se aage baDh gai 
aur 'azim' tu lakiron par hi itraata raha
        Ghazal
Silsile sab ruk gae dil hath se jata raha
Aazim Kohli

