silsile hadson ke dhyan mein rakh
umr-bhar KHud ko imtihan mein rakh
mang bharte hain jo salibon ki
un farishton ko aasman mein rakh
jaane kis moD se guzarna ho
ajnabi raste guman mein rakh
zindagi ke bahut qarib na ja
fasla kuchh to apne dhyan mein rakh
be-hison par bhi jo garan guzrin
aise jumlon ko dastan mein rakh
aaKHiri tir ki tarah KHud ko
khinch kar waqt ki kaman mein rakh
jism ehsas ke chaTaKH jaen
aise but kanch ki dukan mein rakh
pi ke kuchh tajrabon ka zahr 'akmal'
muKHtalif zaiqe zaban mein rakh
Ghazal
Silsile hadson ke dhyan mein rakh
Akmal Imaam