silsila zaKHm zaKHm jari hai
ye zamin dur tak hamari hai
is zamin se ajab talluq hai
zarre zarre se rishtedari hai
main bahut kam kisi se milta hun
jis se yari hai us se yari hai
naw kaghaz ki chhoD di main ne
ab samundar ki zimmedari hai
bech Dala hai din ka har lamha
raat thoDi bahut hamari hai
ret ke ghar to bah gae lekin
barishon ka KHulus jari hai
koi 'nazmi' guzar kar dekhe
main ne jo zindagi guzari hai
Ghazal
Silsila zaKHm zaKHm jari hai
Akhtar Nazmi