silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai
ai sitaro us KHala mein ek safar mera bhi hai
chaar jaanib khinch din us ne lakiren aag ki
main ki chillaya bahut basti mein ghar mera bhi hai
jaane kis ka kya chhupa hai us dhuen ki saf ke par
ek lamhe ka ufuq ummid bhar mera bhi hai
rah aasan dekh kar sab KHush the phir main ne kaha
soch lije ek andaz-e-nazar mera bhi hai
ab nahin hai us ki khiDki ke tanazur mein bhi chand
ek pur-asrar mausam se guzar mera bhi hai
ye bisat-e-arzu hai is ko yun aasan na khel
mujh se wabasta bahut kuchh daw par mera bhi hai
jine marne ka junun dil ko hua 'bani' bahut
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai
Ghazal
Silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai
Rajinder Manchanda Bani

