silsila lafzon ki saughat ka bhi TuT gaya
rabta KHat se mulaqat ka bhi TuT gaya
man ki aaghosh mein ulfat ki rawani pa kar
bandh Thahre hue jazbaat ka bhi TuT gaya
ehtiram apne buzurgon ka adab chhoTon ka
ab chalan aisi riwayat ka bhi TuT gaya
raat ke mathe pe suraj ne sahar likh di hai
aasra us se mulaqat ka bhi TuT gaya
aa gaya kaise wo ab apni ana se bahar
kya hisar aaj meri zat ka bhi TuT gaya
aaj aKHbar ki KHabren bhi hain mashkuk 'faraaz'
aaina surat-e-haalat ka bhi TuT gaya
Ghazal
Silsila lafzon ki saughat ka bhi TuT gaya
Mujahid Faraaz