silsila KHwabon ka sab yunhi dhara rah jaega
ek din bistar pe koi jagta rah jaega
ek KHwahish dil ko ghair-abaad karti jaegi
ek parinda dur tak uDta hua rah jaega
chaar-su phaili hui be-chehragi ki dhund mein
ek din be-aks ho kar aaina rah jaega
har sada se bach ke wo ehsas-e-tanhai mein hai
apne hi diwar-o-dar mein gunjta rah jaega
muddaa hum apna kaghaz par raqam kar jaenge
waqt ke hathon mein apna faisla rah jaega
do ghaDi ke waste aa kar chale jaoge tum
phir meri tanhaiyon ka silsila rah jaega
ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'
bas kitabon mein likhkha harf-e-wafa rah jaega
Ghazal
Silsila KHwabon ka sab yunhi dhara rah jaega
Hayat Lakhnavi