اردو हिंदी
Silsila KHatm hua jalne jalane wala | Shaahi Shayari
silsila KHatm hua jalne jalane wala

Ghazal

Silsila KHatm hua jalne jalane wala

Iqbal Ashhar

;

silsila KHatm hua jalne jalane wala
ab koi KHwab nahin nind uDane wala

ye wo sahra hai sujhae na agar tu rasta
KHak ho jae yahan KHak uDane wala

kya kare aankh jo pathrane ki KHwahish na kare
KHwab ho jae agar KHwab dikhane wala

yaad aata hai ki main KHud se yahin bichhDa tha
yahi rasta hai tere shahr ko jaane wala

ai hawa us se ye kahna ki salamat hai abhi
tere phulon ko kitabon mein chhupane wala

zindagi apni andheron mein basar karta hai
tere aanchal ko sitaron se sajaane wala

sabhi apne nazar aate hain ba-zahir lekin
ruThne wala hai koi na manane wala

le gain dur bahut dur hawaen jis ko
wahi baadal tha meri pyas bujhane wala