اردو हिंदी
Silsila-dar-silsila juzw-e-ada hona hi tha | Shaahi Shayari
silsila-dar-silsila juzw-e-ada hona hi tha

Ghazal

Silsila-dar-silsila juzw-e-ada hona hi tha

Zulfiqar Naqvi

;

silsila-dar-silsila juzw-e-ada hona hi tha
aaKHirash teri nazar ka muddaa hona hi tha

ku-ba-ku sahra-ba-sahra ham-safar tha iztirab
ek naya mahshar naya ek hadsa hona hi tha

Das raha tha teri yaadon ka musalsal azhdaha
lahza lahza fikr mein ek saneha hona hi tha

hath uTThe chashm-e-tar thi dil bhi tha mahw-e-fughan
hashiya-dar-hashiya harf-e-dua hona hi tha

khinch li thi ek lakir-e-na-rasa KHud darmiyan
fasla-dar-fasla-dar-fasla hona hi tha