sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin
muKHalif raste hon to mulaqaten nahin hotin
ye insanon pe insanon ki fauqiyyat ajab shai hai
ragon ki dauDti surKHi mein to zaten nahin hotin
likhi jati hain sanginon se aazadi ki tahriren
kahin KHud pesh aazadi ki saughaten nahin hotin
jahan shab-KHun mara ja sake KHwabida logon par
kisi bedar millat mein to wo raaten nahin hotin
ghaTa se chhinte hain istada koh barish ko
zamin par leTe sahraon par barsaten nahin hotin
'nafir' is daur-e-KHud-agah insanon ki duniya mein
kahin hawi jawan mardon pe aafaten nahin hotin

Ghazal
Sile hon lab zabanen band to baaten nahin hotin
Nafeer Sarmadi