sikha saki na jo aadab-e-mai wo KHu kya thi
jo ye na tha to phir is darja haw-hu kya thi
jo bar-e-dosh raha sar wo kab tha shorida
baha na jis se lahu wo rag-e-gulu kya thi
phir ek zaKHm-e-kushada jo dil ko yaad aa jae
wo lazzat-o-KHalish-e-sozan-o-rafu kya thi
jo izn-e-am na tha waliyan-e-mai-KHana
ye sab numaish-e-paimana-o-subu kya thi
agar nigah-e-jahan ke shumar mein na the hum
to phir hamari ye shohrat bhi chaar-su kya thi
na KHun-e-shab tha na shab-KHun ye man len lekin
shafaq tulu-e-sahar ko lahu lahu kya thi
jab aa rahi hain bahaaren liye payam-e-junun
ye pairahan ko mere hajat-e-rafu kya thi
tumhein shikayat-e-ahl-e-watan hai kyun sahab
KHud apne shahr mein 'ghaalib' ki aabru kya thi
Ghazal
Sikha saki na jo aadab-e-mai wo KHu kya thi
Akbar Ali Khan Arshi Zadah